फिश फ्राई बनाने का ये है आसान तरीका – Fish Fry Recipe In Hindi

Fish fry ka naam sunte hi Hamare muh mein pani aane lagta hai kyunki fish fry recipe hai  hi itni swadish aur famous recipe ki ise har koi janta hai aur khana pasand karta Hai. Waise to fish fry ko india mein aur india ke bahar other countries main bhi banaya jata hai aur bade hi maze ke sath khaya jata hai but ye recipe India mein bangal rajy mein sabse jyada khai jane wali dish Hai.

Fish Fry banane ke liye jyada masalo ki zaroorat nahin bus hamein kuch masala chahiye jo hamare ghar par aasani se uplabdh hote hain. Agar aap non-vegetarian hai to aapne ise jarur khaya honga aur is recipe ke swad se wakif honge.

Fish fry banana bahot aasan hai, Bus kuch step par dhayan diya to aap apne ghar par ise bana sakte hai. Ise ghar par banakar ek bar kha liya to restaurant wali fried fish khana bhul jaoge kyuki ham bata rahe hai restaurant jaisi fish fry banane ka tarika.

To chahiye der na karte hue machli fry banana start karte hain. Hume ummid hai fish fry banane ki vidhi ko janne ke baad aap swadist aur mazedar machli fry ghar par bana longe.

Ingredients

Fish pieces – 500 gm
Ginger garlic paste – 1 chammach
Lemon juice –  1 chammach
Haldi powder – 1 chammach
Lal mirch powder – 1 chammach
Dhaniya powder – 1 chammach
Jeera powder – 1 chammach
Garam Masala – 1 chammach
Salt to taste
Oil – 4 chammach

Fish Fry Method:

Fish ke pieces ko acche se 2 bar pani se dhole aur bowl main nikalde. Ab ek bowl me haldi powder, Lal mirch powder, lemon juice, garam masala, salt, ginger garlic paste, dhaniya powder, jeera powder aur thodasa oil dalkar mix kare.

Sabhi masale mix Ho Jane par fish ke pieces par acchi tarah masala laga de. Ab ek deep pan mein oil dalkar garam kare, Oil ko high flame par kadak garam karna hai warna fry karte samay masale ki layer oil me tut sakti hai. Ab fish ke pieces ko oil me dalkar fry kare. 1-2 minutes ke liye dono side se fry karle. (Chicken Fry kaise banate hai)

Fry ho jane par pieces ko alag plate me nikale aur dhaniya patta se garnish kare. Fish Fry taiyar hai surve karne ke liye ise tomato source ya home made tamatar ki Chatni ke sath kha sakte hai.

Tips:

Fish ke pieces ko oil me add karte samay dhayan rahe oil bhut garam hona chahiye, agar aap low temptreture oil me fish ke pieces ko add karte hai to fish ke upar masalo ki layer tut sakti hai, is baat ka dhayan rakhe.

Fish ke pieces ko oil me jab fry kar rahe ho tab fish ke pieces ko dono side se fry kare, pahele ek side se fry kare, jab ek side se piece ka color halka sunheri ho jaye tab isi tarah dusri side se bhi fry kare.

Aapko ye fish fry recipe in hindi pasand aaye, acchi lage to apne pariwar ya dosto me share jarur kare aur hamare Indian Pakwan youtube channel ko subscribe jarur kare.