Fish korma Recipe in Hindi-मछली का कोरमा कैसे बनाये-indianpakwan

fish korma Ek bahut hi swadisht aur majedar dish Hai. fish korma dish world famous dish Hai. ise Puri Duniya Mein maje se khaya jata hai but ye Dish Bangal ki dish Hai. waise to is Recipe ko pure India mein Pasand Kiya jata hai aur banaya jata hai. Fish korma ka naam sunte hi Hamein lagta hai ki ise banana bahut hi Mushkil kaam hoga but Aisa bilkul nahin hai agar Iske bare mein kisi ko thoda bhi Maloom Ho ki fish korma recipe kaise banate hai? To koi bhi is Recipe ko Aaram Se Bana sakta hai.

Aaj Hum fish korma ko Aasan tarike se banana sikhenge. waise to is Dish ko alag alag tariko se banate hai but Hum Aasan tarike se banayenge Aur Wo Bhi swadist aur majedar to aap step-by-step Hamari Fish korma recipe ko Dhyan se follow Kare. mujhe pata hai aap Ye recipe bahut hi aasani se swadist aur majedar dish Bana Lenge Aur woh Bhi kam time mein So hum ye recipe banana start kar rahe hai aap dhayan se is recipe ko follow kare.

usse pahle thoda Hum Ye Jaan lete hai ki FISH khane ke fayde kya hai? waise to Har recipe ke kuch na kuch fayde hote hai. hum jo bhi recipe khate hain jaise Dal, mutton, veg recipe aur bahut kuch Jisse Hamein protein aur Tarah Tarah Ki energy milti hai. To waise hi fish khane se Hamein kaun sa fayda Milta Hai? Tu Chaliye Jaan lete Hai Ki Fish mein kya kamaal hai.

Fish bahut hi Garam Hoti Hai.fish khane se dimag Tej hota hai. ye chote bacchon ke liye bhi bahut faydamand Hai. fish khane Se Ek fayda ye bhi hai ki ye Heart ke marijo ke liye bahut faydemand hai. Ye Dil ko majbut aur Swasth Rakhta hai. agar aap Sundar skin aur ghane baal Chahte Hai To fish khaya Kare jisse aap ke Balo ko poshan bhi Milta hai aur Baal Ghane hote hain. fish khane se aankhon ko takat bhi milti hai. fish khane ke bahut se fayde Hai To Chaliye Der Na karte hue fish korma recipe in hindi me banana start karte hai.

Ingredients 

Rohu/ Katla fish – 500 gram

Dahi – 1 cup 

Dalchini – 2 piece 

lawang – 7-8 

Oil – 4 Chammach

Ilaichi – 4

onion paste – 1 chammach

ginger-garlic paste – 1 chammach

Salt to taste

Zeera – 1 Chhota chammach 

Sabut Dhaniya -1 chammach 

kali mirch -8-10

Tez patta – 2

tomato paste – 1 cup

Lal mirch powder – 2 chota chammach

Dhaniya Patti – 1 cup

Pudina Patti – 1 Cup

Dhaniya powder – 1 chota chammach

Garam masala – 1 chammach

Method: How To Make Fish Korma

-Sabse pahele Fish ke pieces ko 3-4 pani se acchi tarah dhole aur fish ke pieces me haldi powder, Lal mirch powder, Salt Add Kare aur acchi Tarah mix Karke 20-30 minute ke liye marinate karne ke liye Rakh De.

-marinate hone ke bad oil me fish ke pieces ko fry kar le aur alag plate Mein fish ke pieces ko nikal Le.

-Ab Ek Pan /Kadhai me oil garam kare aur usme Ilaichi, Sabut Dhaniya, Zeera, lawang, kali Mirch, Tez Patta, Dalchini add Kare aur ise bhura hone Tak Bhune. Anda korma kaise banaye

-Ab isme onion paste add Kare aur 2 minute Tak bhune.

-2 minute bad isme ginger-garlic paste add kare aur mix karte huye 2 minute ke liye bhune.

-Sabhi masale sahi tarah se bhun jane ke bad tomato paste aur Lal mirch powder add karde aur mix karte huye tab tak Bhune jab tak masalo Se oil alag Na Ho Jaaye masala se oil alag Ho Jane par gas ke flame ko low Kare aur Dahi add Karke 2 minute ke liye pakaye.

-Ab isme gravy ke liye Pani add Kare aur ismein salt, Dhaniya powder, Dhaniya Patti, Pudina, Garam Masala add Karen aur ubal Aane Tak Pakaye.

-Ubal aane ke bad fish ke pieces ko add Kare aur 2 minute ke liye low Flame par banaye.

-2 minute bad gas band kar de aapka fish korma bankar taiyar Hai surve karne ke liye, ise chapati ya Zeera Rice ke sath khaye aur pariwar ya mahemano ko bhi khilaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *